Koi mili thi jisse main apne iraadon ko baant saka,
aur uske saath ke bal par expressions bana saka
meri khushi isi mein hai ki zamaane ki khushiyaan tume mile
apna kya hai; yeh expressions aur drawings ke hain silsile
Koi mili thi jisse main apne iraadon ko baant saka,
aur uske saath ke bal par expressions bana saka
meri khushi isi mein hai ki zamaane ki khushiyaan tume mile
apna kya hai; yeh expressions aur drawings ke hain silsile
Desh ki taraqqi chaahtha tha par khudh itna gir gayaa
Aam Aadmi se bhadhtharr aur dimaag bhi phir gayaa
Koi saath hota meri tarah sochne wala tho Salim-Javed ban jaate
Yeh ration ka, daftar ka, samaj ka chakkar koson door reh jaate
Kya padaee, Kya naukri, Kya kismat, Kya zindagaani hai de dali tune eh maalik;
na hai kanoon, na bachhon ka saath aur majboori yeh ki samajhne lage hain Ghalib
If PDCA in art is followed for years
So that my near ones have no tears
It doesn't matter money is earned or borrowed
All it is is not one of my near ones are sorrowed
Taqdeer ko dimaag se mod bhi liya tho kya kiya
Yeh kambhakt kismat hi tho dhoor ka hai diya
Azmaa ke tho dekh lete, kisi ko kya farq padtha hai;
Mera shaq sahi hai, inko khuda se darna padtha hai.
Zindagi ka maqsad kya hai, tum kya jaano o babu;
Sahi raste mein chalna hai, na mann ko karna kaboo
Udhasi tho aata rahta hai, isme kudrat ka nahin hai dosh
Udhasi bhari jeevan irsha hone ka sanketh hai, ab karo hosh
Garibi do amir ban jaaoonga, par kafiron ki soch badhal nahin paata
Auqaat mein rakho humko, tera yeh kismat ka khel sahaa nahin jaata
Rabba khol de tere raham ka darwaaza, bhej do pyaar ke maidaan mein
Koi nekdil shaitaan na ban jaaye, jhooth pal raha hai in zaalim saalon mein
Pitaji gareeb they, main government school mein kuch zyaada nahin kar paayaa;
Light bending aur Penrose tiles ke hothe hue bhi main kuch haasil na kar paayaa.
Funny cartoons ko develop karke apna raasta nikhalenge hum:
Na mile journals tho koi nahin; nikkammon ki sarkar ho tum.
Mujhe tum yaad karna aur mujhko yaad aana tum
Main ik din laut ke aaoongaa yeh mat bhool jaana tum
Ab ke jab maths katm ho gayaa tho kya karne ka iraada hai
Aisa kuch jisme bacchon ka aur desh ka kuch faaydaa hai
Kuch bhi karo par paise ghar mein laao baap yeh kahta hai
Maa ke aashirwaad se kuch bann gaya ab paise ghar aata hai
Bhagwaan ke ghar mein dher hai andher nahin yeh sunaa hoga
yeh dher aur andher ki chaabi tum mein hai yeh samajhnaa hoga
Kyon aalsi hai har insaan yahaan, baat yeh samajh na sakaa
Quality ek gehrayee hai, insaan kewal dikhawaa kar sakaa
Tum har pal saath dena mera, har pal yaad rakhna
Mard hoon aakhir is jungle mein yeh yaad rakhna
Kya maqsad ho saktha hai ek bharatiya insaan ka
Har koi apna kar raha hai, tumhe bhi apna karne ka
Udhaar ke paise kaise loutayaa jaye, ek sawaal hai mera
Mehnat nahin, balki luck ya hunar se, yeh jawaab hai mera
Gaur se apni zindagi ko dekh, aur bata tune kya jaana hai
Rajneeti to hai par aalsi insaan hai dushman yeh maana hai
Kuch kar dikhaane ke liye kaise sochaa jaaye batao
Haasil karni hoti hai maalik karna dimaag se hatao
Teen ya chaar ungliyaan tho teekh hai; paanch bhi sikhaana hoga;
Phir tho bandhe ko bitaana nahin, balki training dilaana hoga.
Prime numbers bhi ho saktha hai nikalne ka raasta;
Ab ki baar kuch tho karna hoga khuda ka waasta.
Do axis dekhna hai free, par Pythagoras ya teesra axis hai samay; yeh baat maine kahi.
Kahin yeh L functions ka funda toh nahin ? Kya meri baat hai sahi?
Kuch bhi to nahin kiya, phir kyon chillah rahi ho?
Tere yaar bhi nahin jhel payega, aisa vyavahar kar rahi ho.
Woh kaun sa gyan hai jise duniya ne maana hai
Roshni ka mud jana; yahi maine jaana hai.
Ho sakta hai tum paagal ho, sochna zara kabhi-kabhi
Mujhe tho financers paagal lagte hain, sabhi ke sabhi
Doosron ke baare mein sochna, ya phir co-ordination; main nahin kar paatha;
Kyon? Jab haath aur pair opposites hoke, chal paatha aur kaam kar paatha.
Zindagi ka maqsad ye sab nahin hai;
Na janam loon phir, shayaad yahi sahi hai.
Aur logon ki chaah, kaamyaab yahi khojte hain;
Baaki tho bus apne baare mein sochthe hain.
Doosron ke saath co-ordination hai tarraqqi ka raaz;
Saadharan manush tho sukhi jeevan chahe aaj.
Mere bachchon, kudrat ka kanoon main nahin likh saktha;
Naukri ka maqsad hai mere paas, paise nahin de saktha.
Choices sabhi ke achche hain, lena kya hai samjho;
Mehenge speakers 30000 ke, kuch 3000 ke, thoda bhujho.